chahat
tum chāhte ho ki maiñ
tumheñ tumhāre liye chāhūñ
kyuuñ bhalā
kyā kabhī tum ne
mujhe mere liye chāhā
nahīñ nā
dar-asl
ye chāhne aur na chāhne kī
ḳhvāhish hī
be-ma.anī hai
bā-ma.anī hai to
bas chāhat
merī chāhat
tumhārī chāhat
yā phir
kisī aur kī chāhat
tum chahte ho ki main
tumhein tumhaare liye chahun
kyun bhala
kya kabhi tum ne
mujhe mere liye chaha
nahin na
dar-asl
ye chahne aur na chahne ki
KHwahish hi
be-mani hai
ba-mani hai to
bas chahat
meri chahat
tumhaari chahat
ya phir
kisi aur ki chahat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.