chahat ki pahli barish
vo jiine kī pahlī ḳhvāhish
vo chāhat kī pahlī bārish
jis meñ ham donoñ bhīge the
āñkhoñ se dil tak giile the
rone meñ maza aatā thā bahut
khone meñ maza aatā thā bahut
qisse lambe the rātoñ se
jī bhartā kab thā bātoñ se
mausam pe javānī hotī thī
har shaam suhānī hotī thī
ham thaam ke bāñheñ bāñhoñ meñ
nikle the vafā kī rāhoñ meñ
ik moḌ pe donoñ bichhḌe the
armān bhare dil ujḌe the
dil lekin yaad to kartā hai
ro kar fariyād to kartā hai
ai miit purāne aa jaao
vo din duhrāne aa jaao
wo jine ki pahli KHwahish
wo chahat ki pahli barish
jis mein hum donon bhige the
aankhon se dil tak gile the
rone mein maza aata tha bahut
khone mein maza aata tha bahut
qisse lambe the raaton se
ji bharta kab tha baaton se
mausam pe jawani hoti thi
har sham suhani hoti thi
hum tham ke banhen banhon mein
nikle the wafa ki rahon mein
ek moD pe donon bichhDe the
arman bhare dil ujDe the
dil lekin yaad to karta hai
ro kar fariyaad to karta hai
ai mit purane aa jao
wo din duhrane aa jao
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 118)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.