chand aur chakor
thī ik aisī raat ki ham donoñ tanhā the
chāñd bhī ham bhī
chāñd ye bolā
dīvāne aa baat kareñ kuchh
hijr kī raat bahut bhārī hai
maiñ to kab se sard paḌā huuñ
is niile sahrā meñ yūñhī maiñ sadiyoñ se āvāra huuñ
aur tanhā huuñ
dīvāne aa baat kareñ kuchh
tere dil meñ shāyad ab tak koī dahaktā añgāra hai
hijr kī ThanDī raakh kī tah meñ shāyad koī chiñgārī hai
hijr kī raat bahut bhārī hai
dīvāne aa baat kareñ kuchh
maiñ ne sochā
maiñ dhartī kā rahne vaalā
ye niile ākāsh kā baasī
merā is kā mel nahīñ hai
tanhā.ī hai khel nahīñ hai
maiñ ne ek chaman meñ jā kar ḳhushbū ko ye baat batā.ī
chāñd kā bachnā ab mushkil hai
chaar taraf se ghabrā ke us ko maar rahī hai phailī huī niilī tanhā.ī
ḳhushbū ne lī ik añgḌā.ī
aur ye bolī
haañ bas thoḌī der huī
shabnam kuchh is se miltā-jultā
ik paiġhām sā to laa.ī thī
lekin shā.er maiñ kyuuñ jā.ūñ
jis ko tanhā.ī Dastī ho vo ḳhud aa.e
maiñ kyuuñ jā.ūñ
āḳhir mauj-e-havā aatī hai
aur barhana-pā aatī hai
maiñ kyā kartā
maiñ lauT aayā
chāñd judā.ī ke niile sahrā meñ ab tak āvāra thā
aur tanhā thā
merī jānib dekh rahā thā
tab maiñ ne do pañkh lagā.e
koī nahīñ jaatā to na jaa.e maiñ jaatā huuñ
chāñd akelā Dar jā.egā
mar jā.egā
nīche ab ik chāñdnī kī gahrī khaa.ī hai
āvāzoñ kā ik jañgal hai
aur ik dasht-e-tanhā.ī hai
ik sahra-e-rusvā.ī hai
mere thakte baazū meñ aur chāñd meñ shāyad duurī ab bhī utnī hī hai
chāñd abhī tak duur hai mujh se
aur abhī tak
merī jānib dekh rahā hai
aur kahtā hai
dīvāne aa baat kareñ kuchh
hijr kī raat bahut bhārī hai
tere dil meñ shāyad ab tak shauq kī koī chiñgārī hai
thi ek aisi raat ki hum donon tanha the
chand bhi hum bhi
chand ye bola
diwane aa baat karen kuchh
hijr ki raat bahut bhaari hai
main to kab se sard paDa hun
is nile sahra mein yunhi main sadiyon se aawara hun
aur tanha hun
diwane aa baat karen kuchh
tere dil mein shayad ab tak koi dahakta angara hai
hijr ki ThanDi rakh ki tah mein shayad koi chingari hai
hijr ki raat bahut bhaari hai
diwane aa baat karen kuchh
main ne socha
main dharti ka rahne wala
ye nile aakash ka basi
mera is ka mel nahin hai
tanhai hai khel nahin hai
main ne ek chaman mein ja kar KHushbu ko ye baat batai
chand ka bachna ab mushkil hai
chaar taraf se ghabra ke us ko mar rahi hai phaili hui nili tanhai
KHushbu ne li ek angDai
aur ye boli
han bas thoDi der hui
shabnam kuchh is se milta-julta
ek paigham sa to lai thi
lekin shaer main kyun jaun
jis ko tanhai Dasti ho wo KHud aae
main kyun jaun
aaKHir mauj-e-hawa aati hai
aur barhana-pa aati hai
main kya karta
main lauT aaya
chand judai ke nile sahra mein ab tak aawara tha
aur tanha tha
meri jaanib dekh raha tha
tab main ne do pankh lagae
koi nahin jata to na jae main jata hun
chand akela Dar jaega
mar jaega
niche ab ek chandni ki gahri khai hai
aawazon ka ek jangal hai
aur ek dasht-e-tanhai hai
ek sahra-e-ruswai hai
mere thakte bazu mein aur chand mein shayad duri ab bhi utni hi hai
chand abhi tak dur hai mujh se
aur abhi tak
meri jaanib dekh raha hai
aur kahta hai
diwane aa baat karen kuchh
hijr ki raat bahut bhaari hai
tere dil mein shayad ab tak shauq ki koi chingari hai
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.