chand aur tare salamat
chāñd aur taare salāmat kahkashāñ qaa.em rahe
ye zamīñ qaa.em rahe ye āsmāñ qaa.em rahe
yā ilāhī desh meñ amn-o-amāñ qaa.em rahe
raqs-e-hastī ke liye bazm-e-jahāñ qaa.em rahe
hashr tak qaa.em rahe merā chaman merā vatan
aur is kī ye bahār-e-jāvedāñ qaa.em rahe
yā ilāhī hashr tak mahkeñ mire gulshan ke phuul
bulbuloñ kā shāḳh-e-gul par āshiyāñ qaa.em rahe
chāñd sūraj āsmāñ par jab talak raushan raheñ
gulshan-e-hindostāñ jannat-nishāñ qaa.em rahe
krishn kī bansī baje rādhā rahe madhuban rahe
pyaar ke naġhmoñ meñ Duubī vādī-e-gulshan rahe
chand aur tare salamat kahkashan qaem rahe
ye zamin qaem rahe ye aasman qaem rahe
ya ilahi desh mein amn-o-aman qaem rahe
raqs-e-hasti ke liye bazm-e-jahan qaem rahe
hashr tak qaem rahe mera chaman mera watan
aur is ki ye bahaar-e-jawedan qaem rahe
ya ilahi hashr tak mahken mere gulshan ke phul
bulbulon ka shaKH-e-gul par aashiyan qaem rahe
chand suraj aasman par jab talak raushan rahen
gulshan-e-hindostan jannat-nishan qaem rahe
krishn ki bansi baje radha rahe madhuban rahe
pyar ke naghmon mein Dubi wadi-e-gulshan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.