chand
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
jagmag jagmag jagmag taare
baajī duniyā.eñ haiñ saare
har taare kī ek fazā hai
in meñ paanī aur havā hai
in meñ ḳhushkī aur zamīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
baajī in tāroñ ke andar
ret chaTāneñ aur samundar
kaise kaise ruup haiñ in ke
in ke din haiñ sau sau din ke
raushan har taare kī jabīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
chāñd ki sūraj māmūñ naane
taare apne dost purāne
har taare kā rang nayā hai
niilā koī koī harā hai
rang hasīñ hai Dhang hasīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
rocket kyā kyā jhuum rahe haiñ
aur ḳhalā meñ ghuum rahe haiñ
kyā hai gar raste haiñ mushkil
chāñd sitāre apnī manzil
apnī manzil duur nahīñ hai
baajī ye kuchh jhuuT nahīñ hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
jagmag jagmag jagmag tare
baji duniyaen hain sare
har tare ki ek faza hai
in mein pani aur hawa hai
in mein KHushki aur zamin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
baji in taron ke andar
ret chaTanen aur samundar
kaise kaise rup hain in ke
in ke din hain sau sau din ke
raushan har tare ki jabin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
chand ki suraj mamun nane
tare apne dost purane
har tare ka rang naya hai
nila koi koi hara hai
rang hasin hai Dhang hasin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
rocket kya kya jhum rahe hain
aur KHala mein ghum rahe hain
kya hai gar raste hain mushkil
chand sitare apni manzil
apni manzil dur nahin hai
baji ye kuchh jhuT nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.