chand
chupke chupke raat ko tashrīf jab laatā hai chāñd
har taraf dhartī pe kaisā nuur barsātā hai chāñd
pahle din ke chāñd ko sab log kahte haiñ hilāl
chaudhvīñ tārīḳh ho to badr kahlātā hai chāñd
pur-sukūñ māhaul taare kahkashāñ ThanDī havā
raat kī mahfil meñ aksar raqs farmātā hai chāñd
jab ghaTā ghanghor aatī hai kabhī barsāt meñ
oḌh kar sapnoñ kī chādar shab meñ so jaatā hai chāñd
kahtī hai bachche ko merā chāñd kahte pyaar se
isti.āra pyaar meñ ik maañ ke ban jaatā hai chāñd
har ghaḌī betāb haiñ maamā ke darshan ke liye
chhoTe bachchoñ ke diloñ ko ḳhuub bahlātā hai chāñd
tum ko bhī bachpan meñ ai 'abrār' kitnā pyaar thā
jis tarah 'dānish' miyāñ ko āj-kal bhātā thā chāñd
chupke chupke raat ko tashrif jab lata hai chand
har taraf dharti pe kaisa nur barsata hai chand
pahle din ke chand ko sab log kahte hain hilal
chaudhwin tariKH ho to badr kahlata hai chand
pur-sukun mahaul tare kahkashan ThanDi hawa
raat ki mahfil mein aksar raqs farmata hai chand
jab ghaTa ghanghor aati hai kabhi barsat mein
oDh kar sapnon ki chadar shab mein so jata hai chand
kahti hai bachche ko mera chand kahte pyar se
istiara pyar mein ek man ke ban jata hai chand
har ghaDi betab hain mama ke darshan ke liye
chhoTe bachchon ke dilon ko KHub bahlata hai chand
tum ko bhi bachpan mein ai 'abrar' kitna pyar tha
jis tarah 'danish' miyan ko aaj-kal bhata tha chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.