chand dariya par kar ke aa raha hai
aa ga.ī hai rut-bahār
sabz patte sabz titlī sabz manzar intizār
itr-āgīñ haiñ havā.eñ
peḌ kī gardan pe hañstā hai tirī yādoñ kā haar
ek saaya peḌ par chaḌhtā huā
ik sitāra bādaloñ ke ār-pār
chāñd dariyā paar kar ke aa rahā hai
tum se milne be-qarār
shash-jihat par ḳhushbuoñ kī bhiiḌ sī
band rakhnā tum na apne ghar ke dvaar
aa gai hai rut-bahaar
sabz patte sabz titli sabz manzar intizar
itr-agin hain hawaen
peD ki gardan pe hansta hai teri yaadon ka haar
ek saya peD par chaDhta hua
ek sitara baadalon ke aar-par
chand dariya par kar ke aa raha hai
tum se milne be-qarar
shash-jihat par KHushbuon ki bhiD si
band rakhna tum na apne ghar ke dwar
- Book : aazaadii ke baad urdu nazm (Pg. 731)
- Author : shamiim hanfii
- Publication : national council for promotion of urdu language
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.