chand ka bachcha
vo dekho vo niklā chāñd
ammāñ tum ne dekhā chāñd
ye bhī kyā bachcha hai ammāñ
chhoTā sā munnā sā chāñd
itnā dublā itnā patlā
kab hotā hai aisā chāñd
amaañ us din jo niklā thā
vo thā gol baḌā sā chāñd
bādal se hañs hañs kar us din
kaisā khel rahā thā chāñd
chhup jaatā thā nikal aatā thā
kartā thā ye tamāshā chāñd
apne bachche ko bhejā hai
ghar meñ baiThā hogā chāñd
ye bhī ik din ban jā.egā
achchhā gol baḌā sā chāñd
achchhā amaañ kal kyoñ tum ne
mujh ko kahā thā merā chāñd
wo dekho wo nikla chand
amman tum ne dekha chand
ye bhi kya bachcha hai amman
chhoTa sa munna sa chand
itna dubla itna patla
kab hota hai aisa chand
aman us din jo nikla tha
wo tha gol baDa sa chand
baadal se hans hans kar us din
kaisa khel raha tha chand
chhup jata tha nikal aata tha
karta tha ye tamasha chand
apne bachche ko bheja hai
ghar mein baiTha hoga chand
ye bhi ek din ban jaega
achchha gol baDa sa chand
achchha aman kal kyon tum ne
mujh ko kaha tha mera chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.