chand ka qarz
hamāre āñsuoñ kī āñkheñ banā.ī ga.iiñ
ham ne apne apne talātum se rassa-kashī kī
aur apnā apnā bain hue
sitāroñ kī pukār āsmān se ziyāda zamīn suntī hai
maiñ ne maut ke baal khole
aur jhuuT pe darāz huī
niiñd āñkhoñ ke kanche kheltī rahī
shaam doġhle-rañg sahtī rahī
āsmānoñ pe merā chāñd qarz hai
maiñ maut ke haath meñ ek charāġh huuñ
janam ke pahiye par maut kī rath dekh rahī huuñ
zamīnoñ meñ merā insān dafn hai
sajdoñ se sar uThā lo
maut merī god meñ ek bachcha chhoḌ ga.ī hai
hamare aansuon ki aankhen banai gain
hum ne apne apne talatum se rassa-kashi ki
aur apna apna bain hue
sitaron ki pukar aasman se ziyaada zamin sunti hai
main ne maut ke baal khole
aur jhuT pe daraaz hui
nind aankhon ke kanche khelti rahi
sham doghle-rang sahti rahi
aasmanon pe mera chand qarz hai
main maut ke hath mein ek charagh hun
janam ke pahiye par maut ki rath dekh rahi hun
zaminon mein mera insan dafn hai
sajdon se sar uTha lo
maut meri god mein ek bachcha chhoD gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.