chand ki buDhiya
maañ se ik bachche ne pūchhā
chāñd meñ ye dhabbā kaisā hai
maañ ye bolī
chandā beTe
jis ko tum dhabbā kahte ho vo to ik pāgal buḌhiyā hai
bachche ne māsūm āñkhoñ se kuchh lamhoñ tak maañ ko baḌī hairat se dekhā
aur ye pūchhā
maañ jab maiñ chandā beTā huuñ to mujh meñ bhī ik pāgal buḌhiyā hogī
maañ ne us ko bheñch liyā
us ke lab chūme
gardan chūmī māthā chūmā
aur ye bolī haañ tujh meñ bhī ik buḌhiyā hai
man se ek bachche ne puchha
chand mein ye dhabba kaisa hai
man ye boli
chanda beTe
jis ko tum dhabba kahte ho wo to ek pagal buDhiya hai
bachche ne masum aankhon se kuchh lamhon tak man ko baDi hairat se dekha
aur ye puchha
man jab main chanda beTa hun to mujh mein bhi ek pagal buDhiya hogi
man ne us ko bhench liya
us ke lab chume
gardan chumi matha chuma
aur ye boli han tujh mein bhi ek buDhiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.