chand ko ruKHsat kar do
mere darvāze se ab chāñd ko ruḳhsat kar do
saath aayā hai tumhāre jo tumhāre ghar se
apne māthe se haTā do ye chamaktā huā taaj
pheñk do jism se kirnoñ kā sunahrā zevar
tum hī tanhā mire ġham-ḳhāne meñ aa saktī ho
ek muddat se tumhāre hī liye rakkhā hai
mere jalte hue siine kā dahaktā huā chāñd
dil-e-ḳhūñ-gashta kā hañstā huā ḳhush-rañg gulāb
mere darwaze se ab chand ko ruKHsat kar do
sath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
apne mathe se haTa do ye chamakta hua taj
phenk do jism se kirnon ka sunahra zewar
tum hi tanha mere gham-KHane mein aa sakti ho
ek muddat se tumhaare hi liye rakkha hai
mere jalte hue sine ka dahakta hua chand
dil-e-KHun-gashta ka hansta hua KHush-rang gulab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.