chand koi afsana nahin
ab to ilm kī parvāzeñ
aur hī qisse kahtī haiñ
baajī ab to mat bolo
chāñd meñ pariyāñ rahtī haiñ
chāñd na apnā māmūñ hai
aur na des vo pariyoñ kā
chāñd meñ koī buḌhiyā hai
aur na buḌhiyā kā charḳhā
sadiyoñ sadiyoñ khoj ke baa'd
ab ham ne ye jaanā hai
chāñd koī afsāna nahīñ
ek haqīqī duniyā hai
sardī garmī donoñ tez
oxygen kā naam nahīñ
chaTTāneñ haiñ khā.iyāñ haiñ
dhartī sā ārām nahīñ
ho jā.egā par ik roz
jī lenā āsān vahāñ
apne jiine kā sāmāñ
kar legā insān vahāñ
ilm-o-hunar kī dhārā.eñ
pīchhe ko kab bahtī haiñ
baajī ab to mat bolo
chāñd meñ pariyāñ rahtī haiñ
ab to ilm ki parwazen
aur hi qisse kahti hain
baji ab to mat bolo
chand mein pariyan rahti hain
chand na apna mamun hai
aur na des wo pariyon ka
chand mein koi buDhiya hai
aur na buDhiya ka charKHa
sadiyon sadiyon khoj ke ba'd
ab hum ne ye jaana hai
chand koi afsana nahin
ek haqiqi duniya hai
sardi garmi donon tez
oxygen ka nam nahin
chaTTanen hain khaiyan hain
dharti sa aaram nahin
ho jaega par ek roz
ji lena aasan wahan
apne jine ka saman
kar lega insan wahan
ilm-o-hunar ki dhaaraen
pichhe ko kab bahti hain
baji ab to mat bolo
chand mein pariyan rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.