chand meri zamin phul mera watan
chāñd merī zamīñ phuul merā vatan
mere khetoñ kī miTTī meñ la.al-e-yaman
mere mallāh lahroñ ke paale hue
mere dahqāñ pasīnoñ ke Dhāle hue
mere mazdūr is daur ke kohkan
chāñd merī zamīñ phuul merā vatan
mere faujī javāñ jur.atoñ ke nishāñ
mere ahl-e-qalam azmatoñ kī zabāñ
mere mehnat-kashoñ ke sunahre badan
chāñd merī zamīñ phuul merā vatan
merī sarhad pe pahrā hai īmān kā
mere shahroñ pe saaya hai qur.ān kā
merā ik ik sipāhī hai ḳhaibar-shikan
chāñd merī zamīñ phuul merā vatan
mere dahqāñ yuuñ hī hal chalāte raheñ
mirī miTTī ko sonā banāte raheñ
giit gaate raheñ mere sho.ala-badan
chāñd merī zamīñ phuul merā vatan
chand meri zamin phul mera watan
mere kheton ki miTTi mein lal-e-yaman
mere mallah lahron ke pale hue
mere dahqan pasinon ke Dhaale hue
mere mazdur is daur ke kohkan
chand meri zamin phul mera watan
mere fauji jawan juraton ke nishan
mere ahl-e-qalam azmaton ki zaban
mere mehnat-kashon ke sunahre badan
chand meri zamin phul mera watan
meri sarhad pe pahra hai iman ka
mere shahron pe saya hai quran ka
mera ek ek sipahi hai KHaibar-shikan
chand meri zamin phul mera watan
mere dahqan yun hi hal chalate rahen
meri miTTi ko sona banate rahen
git gate rahen mere shoala-badan
chand meri zamin phul mera watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.