chand pe ja pahuncha insan
jo bhī mushkil raah meñ aa.ī pal meñ thī āsān
apnī himmat se insāñ ne maarā vo maidān
miTTī bolī mere dil kā niklā aaj armān
chāñd pe jā pahuñchā insān
rocket ek uḌā dhartī se aur havā meñ pahuñchā
us ko havā se kyā lenā thā duur fazā meñ pahuñchā
us se bhī kuchh aage niklā aur ḳhalā meñ pahuñchā
himmat maiñ tujh par qurbān
chāñd pe jā pahuñchā insān
jo bhī mushkil raah meñ aa.ī pal meñ thī āsān
ab mirrīḳh bhī duur nahīñ hai chāñd pe jaane vaale
terī himmat par nāzāñ haiñ aaj zamāne vaale
duur zamīñ se sayyāroñ kā khoj lagāne vaale
ilm-o-hunar kī ek na.ī tārīḳh banāne vaale
terā kaam hai ālī-shān
himmat maiñ tujh par qurbān
chāñd pe jā pahuñchā insān
jo bhī mushkil raah meñ aa.ī pal meñ thī āsān
jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan
apni himmat se insan ne mara wo maidan
miTTi boli mere dil ka nikla aaj arman
chand pe ja pahuncha insan
rocket ek uDa dharti se aur hawa mein pahuncha
us ko hawa se kya lena tha dur faza mein pahuncha
us se bhi kuchh aage nikla aur KHala mein pahuncha
himmat main tujh par qurban
chand pe ja pahuncha insan
jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan
ab mirriKH bhi dur nahin hai chand pe jaane wale
teri himmat par nazan hain aaj zamane wale
dur zamin se sayyaron ka khoj lagane wale
ilm-o-hunar ki ek nai tariKH banane wale
tera kaam hai aali-shan
himmat main tujh par qurban
chand pe ja pahuncha insan
jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.