chand raat
ga.e baras kī iid kā din kyā achchhā thā
chāñd ko dekh ke us kā chehra dekhā thā
fazā meñ 'keats' ke lahje kī narmāhaT thī
mausam apne rañg meñ 'faiz' kā misra thā
duā ke be-āvāz ulūhī lamhoñ meñ
vo lamha bhī kitnā dilkash lamha thā
haath uThā kar jab ā.ankhoñ hī ā.ankhoñ meñ
us ne mujh ko apne rab se māñgā thā
phir mere chehre ko hāthoñ meñ le kar
kitne pyaar se merā māthā chūmā thaa!
havā! kuchh aaj kī shab kā bhī ahvāl sunā
kyā vo apnī chhat par aaj akelā thaa?
yā koī mere jaisī saath thī aur us ne
chāñd ko dekh ke us kā chehra dekhā thaa?
gae baras ki id ka din kya achchha tha
chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha
faza mein 'keats' ke lahje ki narmahaT thi
mausam apne rang mein 'faiz' ka misra tha
dua ke be-awaz uluhi lamhon mein
wo lamha bhi kitna dilkash lamha tha
hath uTha kar jab aaankhon hi aaankhon mein
us ne mujh ko apne rab se manga tha
phir mere chehre ko hathon mein le kar
kitne pyar se mera matha chuma tha!
hawa! kuchh aaj ki shab ka bhi ahwal suna
kya wo apni chhat par aaj akela tha?
ya koi mere jaisi sath thi aur us ne
chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha?
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.