chand
shakl hai merī jaise kaTorā
yā koī chāñdī kā golā
rang hai merā gorā gorā
añdherī shab kā maiñ huuñ ujālā
merā ujālā har jā phailā
baaġh ho bastī yā ho sahrā
chāhtī hai mujh ko sab duniyā
ghar ghar hai merā hī charchā
mujh se bahaltā hai jī sab kā
chhoTā bachcha ho yā būḌhā
haiñ ākāsh pe jitne taare
haiñ ye sab mere hī pyāre
merī chamak ke aage dekhī
raushnī hai in sab kī phīkī
haq ne itnā rutba baḌhāyā
maiñ ne ūñchā darja paayā
tum ai bhole bhāle laḌko
dekho mujh ko aur sabaq lo
fā.eda tum bhī kuchh pahuñchāo
jiyo to kaam sabhoñ ke aao
giit tumhāre gā.egī duniyā
hogā tumhārā har-jā charchā
haq hai 'jauhar' kā ye kahnā
kaam aanā jab tak bhī rahnā
shakl hai meri jaise kaTora
ya koi chandi ka gola
rang hai mera gora gora
andheri shab ka main hun ujala
mera ujala har ja phaila
bagh ho basti ya ho sahra
chahti hai mujh ko sab duniya
ghar ghar hai mera hi charcha
mujh se bahalta hai ji sab ka
chhoTa bachcha ho ya buDha
hain aakash pe jitne tare
hain ye sab mere hi pyare
meri chamak ke aage dekhi
raushni hai in sab ki phiki
haq ne itna rutba baDhaya
main ne uncha darja paya
tum ai bhole bhaale laDko
dekho mujh ko aur sabaq lo
faeda tum bhi kuchh pahunchao
jiyo to kaam sabhon ke aao
git tumhaare gaegi duniya
hoga tumhaara har-ja charcha
haq hai 'jauhar' ka ye kahna
kaam aana jab tak bhi rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.