chand taron ka ban
mom kī tarah jalte rahe ham shahīdoñ ke tan
rāt-bhar jhilmilātī rahī sham-e-sub.h-e-vatan
rāt-bhar jagmagātā rahā chāñd tāroñ kā ban
tishnagī thī magar
tishnagī meñ bhī sarshār the
pyāsī āñkhoñ ke ḳhālī kaTore liye
muntazir mard o zan
mastiyāñ ḳhatm, mad-hoshiyāñ ḳhatm thīñ, ḳhatm thā bāñkpan
raat ke jagmagāte dahakte badan
sub.h-dam ek dīvār-e-ġham ban ga.e
ḳhār-zār-e-alam ban ga.e
raat kī shah-ragoñ kā uchhaltā lahū
jū-e-ḳhūñ ban gayā
kuchh imāmān-e-sad-makr-o-fan
un kī sāñsoñ meñ af.ī kī phunkār thī
un ke siine meñ nafrat kā kaalā dhuāñ
ik kamīñ-gāh se
pheñk kar apnī nok-e-zabāñ
ḳhūn-e-nūr-e-sahar pī ga.e
raat kī talchhateñ haiñ añdherā bhī hai
sub.h kā kuchh ujālā bhī hai
hamdamo!
haath meñ haath do
sū-e-manzil chalo
manzileñ pyaar kī
manzileñ daar kī
kū-e-dildār kī manzileñ
dosh par apnī apnī salībeñ uThā.e chalo
mom ki tarah jalte rahe hum shahidon ke tan
raat-bhar jhilmilati rahi sham-e-subh-e-watan
raat-bhar jagmagata raha chand taron ka ban
tishnagi thi magar
tishnagi mein bhi sarshaar the
pyasi aankhon ke KHali kaTore liye
muntazir mard o zan
mastiyan KHatm, mad-hoshiyan KHatm thin, KHatm tha bankpan
raat ke jagmagate dahakte badan
subh-dam ek diwar-e-gham ban gae
KHar-zar-e-alam ban gae
raat ki shah-ragon ka uchhalta lahu
ju-e-KHun ban gaya
kuchh imaman-e-sad-makr-o-fan
un ki sanson mein afi ki phunkar thi
un ke sine mein nafrat ka kala dhuan
ek kamin-gah se
phenk kar apni nok-e-zaban
KHun-e-nur-e-sahar pi gae
raat ki talchhaten hain andhera bhi hai
subh ka kuchh ujala bhi hai
hamdamo!
hath mein hath do
su-e-manzil chalo
manzilen pyar ki
manzilen dar ki
ku-e-dildar ki manzilen
dosh par apni apni saliben uThae chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.