chand
ujjal ujjal komal komal chamkīlā chamkīlā chāñd
na.ī navelī dulhan jaisā sharmīlā sharmīlā chāñd
vo dekho vo muskāta bal khātā le kar añgḌā.ī
ik bādal kī oT se niklā chanchal shoḳh sajīlā chāñd
ujlī rañgat gorā mukhḌā us pe rupahlī hai poshāk
tāroñ ke jhurmuT meñ kaisā lagtā hai bhaḌkīla chāñd
ruup anuup kī naav pe baiThā kirnoñ kī patvār liye
niil gagan meñ tair rahā hai sundar chhail-chhabīlā chāñd
ham bhī chor sipāhī luk-chhup aañkh michaulī kheleñge
tāroñ ke sañg khel rahā hai ūñchā nīchā Tiila chāñd
ammī merā chāñd to dekho bālū-shāhī jaisā hai
nik.hat baajī kā hai kaisā kaḌvā aur kasīlā chāñd
kirnoñ kī sīḌhī ke sahāre chhat par to aa pahuñchā hai
āñgan meñ paanī na girāo ho jā.egā giilā chāñd
chandā māmūñ chandā māmūñ kahte kahte muñh sūkhe
phir bhī apne paas na aa.e ziddī aur haTīlā chāñd
munnā āġhūñ āġhūñ kar ke jab bhī apne paas bulā.e
dham se āñgan meñ aa kuude 'aḳhtar' rañg-rañgīlā chāñd
ujjal ujjal komal komal chamkila chamkila chand
nai naweli dulhan jaisa sharmila sharmila chand
wo dekho wo muskata bal khata le kar angDai
ek baadal ki oT se nikla chanchal shoKH sajila chand
ujli rangat gora mukhDa us pe rupahli hai poshak
taron ke jhurmuT mein kaisa lagta hai bhaDkila chand
rup anup ki naw pe baiTha kirnon ki patwar liye
nil gagan mein tair raha hai sundar chhail-chhabila chand
hum bhi chor sipahi luk-chhup aankh michauli khelenge
taron ke sang khel raha hai uncha nicha Tila chand
ammi mera chand to dekho baalu-shahi jaisa hai
nikhat baji ka hai kaisa kaDwa aur kasila chand
kirnon ki siDhi ke sahaare chhat par to aa pahuncha hai
aangan mein pani na girao ho jaega gila chand
chanda mamun chanda mamun kahte kahte munh sukhe
phir bhi apne pas na aae ziddi aur haTila chand
munna aaghun aaghun kar ke jab bhi apne pas bulae
dham se aangan mein aa kude 'aKHtar' rang-rangila chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.