chandni raat aur pariyan
jidhar dekhiye chāñdnī bahār
pahāḌoñ pe chhāyā huā hai ḳhumār
parind āshiyānoñ meñ kho.e hue
darinde nashe meñ the so.e hue
zamīñ-tā-falak nuur hī nuur thā
har ik peḌ jangal meñ masrūr thā
ḳhalā meñ bikhartā sā chāñdī kā rang
fazā meñ baje jis tarah jal-tarañg
jo dekhā to ik samt chashma ravāñ
ye pariyoñ kī aamad ye nuurī samāñ
ga.e ghuñghruoñ ke chhanāke bikhar
huī bazm-e-ishrat yuuñ hī jalva-gar
zamurrad parī ek pokhrāj thī
bahut saarī pariyoñ kī sartāj thī
Take jis ke kapḌoñ meñ la.al-o-gohar
vo jham jham jhamaktī idhar se udhar
sharārat jo sūjhī ga.ī aañkh khul
diyā saarī pariyoñ ne bachchoñ ko jul
jidhar dekhiye chandni bahaar
pahaDon pe chhaya hua hai KHumar
parind aashiyanon mein khoe hue
darinde nashe mein the soe hue
zamin-ta-falak nur hi nur tha
har ek peD jangal mein masrur tha
KHala mein bikharta sa chandi ka rang
faza mein baje jis tarah jal-tarang
jo dekha to ek samt chashma rawan
ye pariyon ki aamad ye nuri saman
gae ghunghruon ke chhanake bikhar
hui bazm-e-ishrat yun hi jalwa-gar
zamurrad pari ek pokhraj thi
bahut sari pariyon ki sartaj thi
Take jis ke kapDon mein lal-o-gohar
wo jham jham jhamakti idhar se udhar
shararat jo sujhi gai aankh khul
diya sari pariyon ne bachchon ko jul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.