chaar fitne
Interesting Fact
Char fitne' was written by Sarwar Sahib in Aligarh for his grandchildren Arfi, Rakhshda, Tabanda and Zarin.
tiin fitnoñ kā qissa purānā huā
chaar fitnoñ kā suniye zarā mājrā
ek lambe haiñ aalim bhī fāzil bhī haiñ
sach to ye hai ki thoḌe se kāhil bhī haiñ
sher kā shauq bhī ilm kā zauq bhī
aur gale meñ aligarh kā hai tauq bhī
murġh-o-māhī kī rag rag se ye āshnā
dostoñ par fidā aur ghar se judā
khāne piine kā koī nahīñ hai nizām
tiir tikke pe chaltā hai sab in kā kaam
dūsrī jo haiñ paḌhne meñ go tez haiñ
un ko dekho to bilkul hī añgrez haiñ
raas aayā hai likhne kā chakkar unheñ
milte rahte haiñ in.aam aksar unheñ
haiñ nafāst-pasnd aur ḳhalvat-pasand
dostī meñ bhī rahtī haiñ kuchh band band
boltī haiñ to lafzoñ kā ġhā.eb sirā
jumla un kā adhūrā hī palle paḌā
tīsrī tez hai aur har fan meñ taaq
har ghaḌī dil-lagī qahqahe aur mazāq
paḌhtī likhtī bhī hai aur gaatī bhī hai
apnī bātoñ se sab ko lubhātī bhī hai
vahm ye hai ki haiñ daañt mere baḌe
mujh se pūchho to lagte haiñ motī jaḌe
sub.h ko roz aḳhbār paḌhtī hai ye
bhaa.ī bahnoñ se phir jā ke laḌtī hai ye
aur chhoTī hai guḌiyā sī ma.asūm sī
kuchh to sanjīda sī thoḌī maġhmūm sī
shart ammāñ se kahiye kahānī na.ī
ek apnī sī laḌkī se hai dostī
ghar sajāne kā us ko baḌā shauq hai
film kā aur gaane kā bhī zauq hai
sab se milne kī zahmat uThātī nahīñ
aire-ġhaire ko ḳhātir meñ laatī nahīñ
chaar phūloñ se gulshan meñ apne bahār
chaar phūloñ pe saarī bahāreñ nisār
chaar fitne nahīñ haiñ ye haiñ chaar yaar
in se apne ufuq ko lage chaar chāñd
in kī kirnoñ se jag meñ ujālā rahe
in kā har bazm meñ bol-bālā rahe
tin fitnon ka qissa purana hua
chaar fitnon ka suniye zara majra
ek lambe hain aalim bhi fazil bhi hain
sach to ye hai ki thoDe se kahil bhi hain
sher ka shauq bhi ilm ka zauq bhi
aur gale mein aligarh ka hai tauq bhi
murgh-o-mahi ki rag rag se ye aashna
doston par fida aur ghar se juda
khane pine ka koi nahin hai nizam
tir tikke pe chalta hai sab in ka kaam
dusri jo hain paDhne mein go tez hain
un ko dekho to bilkul hi angrez hain
ras aaya hai likhne ka chakkar unhen
milte rahte hain inam aksar unhen
hain nafast-pasnd aur KHalwat-pasand
dosti mein bhi rahti hain kuchh band band
bolti hain to lafzon ka ghaeb sira
jumla un ka adhura hi palle paDa
tisri tez hai aur har fan mein taq
har ghaDi dil-lagi qahqahe aur mazaq
paDhti likhti bhi hai aur gati bhi hai
apni baaton se sab ko lubhati bhi hai
wahm ye hai ki hain dant mere baDe
mujh se puchho to lagte hain moti jaDe
subh ko roz aKHbar paDhti hai ye
bhai bahnon se phir ja ke laDti hai ye
aur chhoTi hai guDiya si masum si
kuchh to sanjida si thoDi maghmum si
shart amman se kahiye kahani nai
ek apni si laDki se hai dosti
ghar sajaane ka us ko baDa shauq hai
film ka aur gane ka bhi zauq hai
sab se milne ki zahmat uThati nahin
aire-ghaire ko KHatir mein lati nahin
chaar phulon se gulshan mein apne bahaar
chaar phulon pe sari bahaaren nisar
chaar fitne nahin hain ye hain chaar yar
in se apne ufuq ko lage chaar chand
in ki kirnon se jag mein ujala rahe
in ka har bazm mein bol-baala rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.