chaar musafir
nikle safar ko paidal vo chaar ham-safar the
sab apne rāste aur manzil se bā-ḳhabar the
ik falsafī thā un meñ dūsrā thā naa.ī
phir tīsrā sipāhī ganjā thā jis kā bhaa.ī
jañgal meñ raat aa.ī lāzim thā un ko sonā
le kar chale the apne vo oḌhnā bichhaunā
so.e kuchh is tarah vo us meñ hoshiyārī
har ek kā thā pahrā do ghanTe baarī baarī
pahle sipāhī jaagā phir aadhī raat aa.ī
vo so gayā to pahrā dene lagā thā naa.ī
lambe the aur ghane the jo baal us ke sar par
naa.ī ne muuñD Daale tez usturā pher kar
bedār falsafī ko kar ke ye bolā naa.ī
baarī ab aap kī hai uTh jaao mere bhaa.ī
jab haath falsafī ne chañdiyā pe apnī pherā
aape se ho ke bāhar naa.ī ko us ne gherā
ye kyā ġhazab kiyā hai nāhaq use uThāyā
baarī thī falsafī kī ganje ko kyoñ jagāyā
nikle safar ko paidal wo chaar ham-safar the
sab apne raste aur manzil se ba-KHabar the
ek falsafi tha un mein dusra tha nai
phir tisra sipahi ganja tha jis ka bhai
jangal mein raat aai lazim tha un ko sona
le kar chale the apne wo oDhna bichhauna
soe kuchh is tarah wo us mein hoshiyari
har ek ka tha pahra do ghanTe bari bari
pahle sipahi jaga phir aadhi raat aai
wo so gaya to pahra dene laga tha nai
lambe the aur ghane the jo baal us ke sar par
nai ne munD Dale tez ustura pher kar
bedar falsafi ko kar ke ye bola nai
bari ab aap ki hai uTh jao mere bhai
jab hath falsafi ne chandiya pe apni phera
aape se ho ke bahar nai ko us ne ghera
ye kya ghazab kiya hai nahaq use uThaya
bari thi falsafi ki ganje ko kyon jagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.