chaar sal baad
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
chabūtre pe gard kī dabīz tah jamī huī
guzartī sā.atoñ ke ġham daroñ meñ chīḳhte hue
udaas khiḌkiyoñ ke rañg dukh meñ bhīgte hue
ye ḳhvāb bistaraoñ kī chādaroñ meñ sūkhte hue
vo phuul ek baar jis tarah yahāñ sajā.e the
usī tarah se un ke zard naqsh kāñpte hue
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
havā na-jāne kitnī baar dar pe aa ke jā chukī
na-jāne kitnī baar khiḌkiyoñ pe dastakeñ huiiñ
na-jāne kitne qahqahoñ ko log bhuul bhī chuke
chabūtre pe gard kī dabīz tah ne kah diyā
ki muddatoñ se yaañ kisī ne dāstāñ nahīñ likhī
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
haveliyoñ kā tumtarāq TuuT kar bikhar chukā
chaman se ab bahār kā har ik nasha utar chukā
anāniyat shikast-ḳhurda ḳhāmushī meñ Dhal chukī
aur aaj gumbadoñ meñ apnī guuñj sun rahī huuñ maiñ
ki muddatoñ se ghar meñ muskurāhaTeñ na jal sakīñ
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
magar vo naam to kahīñ khude hue haiñ peḌ par
maiñ roz-o-shab kī āñdhiyoñ ko apne ghar meñ hī rahūñ
maiñ shaam ko udāsiyoñ meñ ik daraḳht ke tale
purāne naam chupke chupke yaad kar ke ro sakūñ
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
magar vo peḌ āñdhiyoñ meñ jaane kab ukhaḌ gayā
na-jāne kaun log is ko kaaT kar chale ga.e
mujhe nahīñ ḳhabar ki is kī patiyāñ kahāñ ga.iiñ
tane kī lakḌiyāñ bhī kis machine meñ badal ga.iiñ
vo naam pāniyoñ ke rāste kahāñ chale ga.e
phir aaj chaar saal ba.ad usī jagah khaḌī huuñ maiñ
maiñ lauT jā.ūñgī chabūtre kī gard pūñchh kar
guzartī sā.atoñ ke ġham-daroñ meñ chīḳh jā.eñge
udaas khiḌkiyoñ ke rañg dukh meñ bhiig jā.eñge
ye ḳhvāb bistaraoñ kī chādaroñ meñ suukh jā.eñge
maiñ taaza phuul jis tarah se ab sajā ke jā.ūñgī
vahī nuqūsh chaar saal ba.ad kaañp jā.eñge
maiñ ġhurbatoñ kī qabr meñ ḳhamosh lauT jā.ūñgī
ye umr be-kanār rāstoñ meñ biit jā.egī
maiñ ab ujaaḌ bastiyoñ meñ lauT ke na ā.ūñgī
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
chabutre pe gard ki dabiz tah jami hui
guzarti saaton ke gham daron mein chiKHte hue
udas khiDkiyon ke rang dukh mein bhigte hue
ye KHwab bistaraon ki chadaron mein sukhte hue
wo phul ek bar jis tarah yahan sajae the
usi tarah se un ke zard naqsh kanpte hue
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
hawa na-jaane kitni bar dar pe aa ke ja chuki
na-jaane kitni bar khiDkiyon pe dastaken huin
na-jaane kitne qahqahon ko log bhul bhi chuke
chabutre pe gard ki dabiz tah ne kah diya
ki muddaton se yan kisi ne dastan nahin likhi
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
haweliyon ka tumtaraq TuT kar bikhar chuka
chaman se ab bahaar ka har ek nasha utar chuka
ananiyat shikast-KHurda KHamushi mein Dhal chuki
aur aaj gumbadon mein apni gunj sun rahi hun main
ki muddaton se ghar mein muskurahaTen na jal sakin
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
magar wo nam to kahin khude hue hain peD par
main roz-o-shab ki aandhiyon ko apne ghar mein hi rahun
main sham ko udasiyon mein ek daraKHt ke tale
purane nam chupke chupke yaad kar ke ro sakun
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
magar wo peD aandhiyon mein jaane kab ukhaD gaya
na-jaane kaun log is ko kaT kar chale gae
mujhe nahin KHabar ki is ki patiyan kahan gain
tane ki lakDiyan bhi kis machine mein badal gain
wo nam paniyon ke raste kahan chale gae
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
main lauT jaungi chabutre ki gard punchh kar
guzarti saaton ke gham-daron mein chiKH jaenge
udas khiDkiyon ke rang dukh mein bhig jaenge
ye KHwab bistaraon ki chadaron mein sukh jaenge
main taza phul jis tarah se ab saja ke jaungi
wahi nuqush chaar sal baad kanp jaenge
main ghurbaton ki qabr mein KHamosh lauT jaungi
ye umr be-kanar raston mein bit jaegi
main ab ujaD bastiyon mein lauT ke na aaungi
- Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.