chaaragar
rah-e-ishq kī intihā chāhtā huuñ
junūñ sā koī rahnumā chāhtā huuñ
jo irfān kī zindagī ko baḌhā de
maiñ vo bāda-e-jāñ-fazā chāhtā huuñ
miTā kar mujhe aa.ī maiñ jazb kar le
baqā ke liye maiñ fanā chāhtā huuñ
bayāñ hāl-e-dil maiñ karūñ kyuuñ zabāñ se
koī jāntā hai maiñ kyā chāhtā huuñ
mujhe kyā zarūrat hai kyā tum se māñgūñ
magar maiñ tumhārā bhalā chāhtā huuñ
mire chāragar maiñ huuñ bīmār terā
tire haath hī shifā chāhtā huuñ
rah-e-ishq ki intiha chahta hun
junun sa koi rahnuma chahta hun
jo irfan ki zindagi ko baDha de
main wo baada-e-jaan-faza chahta hun
miTa kar mujhe aai main jazb kar le
baqa ke liye main fana chahta hun
bayan haal-e-dil main karun kyun zaban se
koi jaanta hai main kya chahta hun
mujhe kya zarurat hai kya tum se mangun
magar main tumhaara bhala chahta hun
mere chaaragar main hun bimar tera
tere hath hi shifa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.