chaaragaro
sanam-kadoñ meñ charāġhāñ hai mai-kadoñ kī taraf
nigāh-e-pīr-e-muġhāñ kī sabīl jaarī hai
har ik fusūñ hai, magar be-asar hai chāragaro
idhar bhī tishna-labī mustaqil nahīñ jaatī
yahāñ bhī nashsha-e-nā-mo'tabar hai chāragaro
maiñ aisā jāda-e-manzil guzishta huuñ jis ke
har ek sañg meñ zaḳhm-e-safar hai chāragaro
har ek din kī tarah thā visāl kā din bhī
jilau meñ farsh, na qadmoñ meñ āsmān liye
qarīb aa.e aur aa kar badal ga.e mausam
guzar ga.ī shab-e-hijrāñ baġhair jaan liye
koī sune bhī to kyā dāstāñ sunā.ūñ use
hadīs-e-shām-o-sahar muḳhtasar hai chāragaro
sivā.e ye ki dil āshufta-sar hai chāragaro
sanam-kadon mein charaghan hai mai-kadon ki taraf
nigah-e-pir-e-mughan ki sabil jari hai
har ek fusun hai, magar be-asar hai chaaragaro
idhar bhi tishna-labi mustaqil nahin jati
yahan bhi nashsha-e-na-mo'tabar hai chaaragaro
main aisa jada-e-manzil guzishta hun jis ke
har ek sang mein zaKHm-e-safar hai chaaragaro
har ek din ki tarah tha visal ka din bhi
jilau mein farsh, na qadmon mein aasman liye
qarib aae aur aa kar badal gae mausam
guzar gai shab-e-hijran baghair jaan liye
koi sune bhi to kya dastan sunaun use
hadis-e-sham-o-sahar muKHtasar hai chaaragaro
siwae ye ki dil aashufta-sar hai chaaragaro
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 32)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.