Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaT ka dona

Shabnam Rumani

chaT ka dona

Shabnam Rumani

MORE BYShabnam Rumani

    ye chīnī guḌiyā hai zālim bis puḌiyā

    ye bad-sūrat guDDā hai europe des baunā

    ham bhī ek khilaunā yaaro tum bhī ek khilaunā

    tank ko dekho reñg rahā hai kaisā faT faT faT faT

    uuñT ko dekho dauḌ rahā hai kaisā aunā paunā

    ham bhī ek khilaunā yaaro tum bhī ek khilaunā

    murġhā kukḌūñkūñ kartā hai murġhī kaT kaT kaT kaT

    chor bhagoḌā bhaag rahā hai le kar ek bhagonā

    ham bhī ek khilaunā yaaro tum bhī ek khilaunā

    chhunne bhayyā soch rahe haiñ kaise haath dikhā.eñ

    muñh meñ paanī hāthoñ meñ aalū chaaT donā

    ham bhī ek khilaunā yaaro tum bhī ek khilaunā

    ghuñghaT us chhe foot lambā choTī das foot lambī

    biich mahalle aaj huā kaanī guḌiyā gaunā

    ham bhī ek khilaunā yaaro tum bhī ek khilaunā

    ye chini ki guDiya hai ya zalim bis ki puDiya

    ye bad-surat guDDa hai ya europe des ka bauna

    hum bhi ek khilauna yaro tum bhi ek khilauna

    tank ko dekho reng raha hai kaisa faT faT faT faT

    unT ko dekho dauD raha hai kaisa auna pauna

    hum bhi ek khilauna yaro tum bhi ek khilauna

    murgha kukDunkun karta hai murghi kaT kaT kaT kaT

    chor bhagoDa bhag raha hai le kar ek bhagona

    hum bhi ek khilauna yaro tum bhi ek khilauna

    chhunne bhayya soch rahe hain kaise hath dikhaen

    munh mein pani hathon mein aalu ki chaT ka dona

    hum bhi ek khilauna yaro tum bhi ek khilauna

    ghunghaT us ka chhe foot lamba choTi das foot lambi

    bich mahalle aaj hua kani guDiya ka gauna

    hum bhi ek khilauna yaro tum bhi ek khilauna

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now