chacha ke sath
miltā nahīñ mizāj chachī kā chachā ke saath
jaise charāġh bāñdh diyā ho havā ke saath
donoñ ke bachche raah kī dīvār ban ga.e
shādī-shudā kā ishq hai shādī-shudā ke saath
mujh ko jo rokte the bahut tāñk-jhāñk se
vo jā rahe haiñ apnī na.ī ahliya ke saath
khāne meñ koī chiiz bhī ḳhālis nahīñ rahī
jismoñ meñ dauḌtā hai lahū DālDā ke saath
kal raat ham ne luuT liyā thā mushā.ira
lahrā ga.e fazā meñ TamāTar havā ke saath
milta nahin mizaj chachi ka chacha ke sath
jaise charagh bandh diya ho hawa ke sath
donon ke bachche rah ki diwar ban gae
shadi-shuda ka ishq hai shadi-shuda ke sath
mujh ko jo rokte the bahut tank-jhank se
wo ja rahe hain apni nai ahliya ke sath
khane mein koi chiz bhi KHalis nahin rahi
jismon mein dauDta hai lahu DalDa ke sath
kal raat hum ne luT liya tha mushaira
lahra gae faza mein TamaTar hawa ke sath
- Book : excuse me (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.