chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par
chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par
Aaftab Rais Panipati
MORE BYAaftab Rais Panipati
girī hai barq-e-tapāñ dil pe ye ḳhabar sun kar
chaḌhā diyā hai bhagat-singh ko raat phāñsī par
uThā hai nāla-e-pur-dard se nayā mahshar
jigar pe mādar-e-bhārat ke chal ga.e ḳhanjar
shikasta-hāl huā qaum ke habīboñ kā
badan meñ ḳhushk lahū ho gayā ġharīboñ kā
abhī to qaum ne 'nehrū' kā ġham uThāyā thā
abhī to daas kī furqat ne hashr Dhāyā thā
abhī to hijr kā bismil ke zaḳhm khāyā thā
abhī to koh-e-sitam charḳh ne girāyā thā
chale haiñ nāvak-e-bedād phir kalejoñ par
ki aaj uTh ga.e afsos naujavāñ rahbar
adū vatan ko tashaddud se kyā dabā.eñge
vo apne haath se fitne na.e jagā.eñge
jo mulk-o-qaum kī devī pe sar chaḌhā.eñge
nisār ho ke shahīdoñ meñ naam pā.eñge
giregā qatra-e-ḳhūñ bhī jahāñ sapūtoñ kā
fidā-e-hind vahāñ hoñge saiñkaḌoñ paidā
jahāñ se mulk-e-adam naunihāl jaate haiñ
numāyāñ kar ke sitam-kash kā haal jaate haiñ
girā ke hind meñ koh-e-malāl jaate haiñ
vatan ko chhoḌ ke bhārat ke laal jaate haiñ
taḌap rahe haiñ judā.ī meñ be-qarār-e-vatan
chale haiñ ālam-e-bālā ko jāñ-nisār-e-vatan
giri hai barq-e-tapan dil pe ye KHabar sun kar
chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par
uTha hai nala-e-pur-dard se naya mahshar
jigar pe madar-e-bhaarat ke chal gae KHanjar
shikasta-haal hua qaum ke habibon ka
badan mein KHushk lahu ho gaya gharibon ka
abhi to qaum ne 'nehru' ka gham uThaya tha
abhi to das ki furqat ne hashr Dhaya tha
abhi to hijr ka bismil ke zaKHm khaya tha
abhi to koh-e-sitam charKH ne giraya tha
chale hain nawak-e-bedad phir kalejon par
ki aaj uTh gae afsos naujawan rahbar
adu watan ko tashaddud se kya dabaenge
wo apne hath se fitne nae jagaenge
jo mulk-o-qaum ki dewi pe sar chaDhaenge
nisar ho ke shahidon mein nam paenge
girega qatra-e-KHun bhi jahan saputon ka
fida-e-hind wahan honge sainkaDon paida
jahan se mulk-e-adam naunihaal jate hain
numayan kar ke sitam-kash ka haal jate hain
gira ke hind mein koh-e-malal jate hain
watan ko chhoD ke bhaarat ke lal jate hain
taDap rahe hain judai mein be-qarar-e-watan
chale hain aalam-e-baala ko jaan-nisar-e-watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.