chait ka phul
maiñ chait kā phuul huuñ
aur
aakif huuñ miTTī ke nīche
ye chila-kashī hai
kisī aur hai.at meñ Dhalne kī
chālīs rātoñ kā chalā hai
bhārī kināroñ kā tillā hai
dariyā se uḌtī havā
apnī lahroñ-bharī shaal phailā.e
būḌhā falak thoḌe aañsū bahā.e
siyah abr palkoñ kī jhālar uThā.e
chamaktī huī dhuup āḳhir meñ aa.e
mutallā badan ko bichhā.e
pahāḌoñ ke qadmoñ se
lambe samundar kī vus.at-bharī sarhadoñ tak!
zamīñ ik baḌī siip hai
biich bārish kā vahdāniyat se labālab bharā
ek qatra hai
jo siip meñ girtā hai
aur motī meñ Dhaltā hai
harfoñ ke
kaun aise jumle banātā hai
jumle meñ
ik code kī tarah
ma.anī chhupātā hai
ashre guzarte haiñ
ik nasl aatī hai
ma.anī ko
jumle kī zanjīr se aa ke āzād kartī hai
ma.anī-bhare chait kā phuul hai
chait ke phuul kā
aur tirī uñgliyoñ kā
hazāroñ baras kā purānā ta.alluq hai
maiñ chait kā phuul huuñ
aur muallaq paḌā huuñ
kisī darmiyānī zamāne meñ
pahuñchūñgā
barfīle raste se hotā
ḳhunuk rut meñ
ḳhushbū bhare phuul kī mīThī muTThī
kī tahvīl se hotā
apne abad se
purāne Thikāne meñ!!
main chait ka phul hun
aur
aakif hun miTTi ke niche
ye chila-kashi hai
kisi aur haiat mein Dhalne ki
chaalis raaton ka chala hai
bhaari kinaron ka tilla hai
dariya se uDti hawa
apni lahron-bhari shaal phailae
buDha falak thoDe aansu bahae
siyah abr palkon ki jhaalar uThae
chamakti hui dhup aaKHir mein aae
mutalla badan ko bichhae
pahaDon ke qadmon se
lambe samundar ki wusat-bhari sarhadon tak!
zamin ek baDi sip hai
bich barish ka wahdaniyat se labaalab bhara
ek qatra hai
jo sip mein girta hai
aur moti mein Dhalta hai
harfon ke
kaun aise jumle banata hai
jumle mein
ek code ki tarah
mani chhupata hai
ashre guzarte hain
ek nasl aati hai
mani ko
jumle ki zanjir se aa ke aazad karti hai
mani-bhare chait ka phul hai
chait ke phul ka
aur teri ungliyon ka
hazaron baras ka purana talluq hai
main chait ka phul hun
aur muallaq paDa hun
kisi darmiyani zamane mein
pahunchunga
barfile raste se hota
KHunuk rut mein
KHushbu bhare phul ki miThi muTThi
ki tahwil se hota
apne abad se
purane Thikane mein!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 98)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.