bas dekhā aur phir bhuul ga.e
jab husn nigāhoñ meñ aayā
man-sāgar meñ tūfān uThā
tūfān ko chanchal dekh Darī ākāsh kī gañgā dūdh-bharī
aur chāñd chhupā taare so.e tūfān miTā har baat ga.ī
dil bhuul gayā pahlī puujā man mandir kī mūrat TuuTī
din laayā bāteñ anjānī phir din bhī nayā aur raat na.ī
pītam bhī na.ī paremī bhī nayā sukh sej na.ī har baat na.ī
ik pal ko aa.ī nigāhoñ meñ jhilmil kartī pahlī
sundartā aur phir bhuul ga.e
mat jaano hameñ tum harjā.ī
harjā.ī kyuuñ kaise kaise
kyā daad jo ik lamhe kī ho vo daad nahīñ kahlā.egī
jo baat ho dil kī āñkhoñ kī
tum us ko havas kyuuñ kahte ho
jitnī bhī jahāñ ho jalvagarī us se dil ko garmāne do
jab tak hai zamīñ
jab tak hai zamāñ
ye husn o numā.ish jaarī hai
is ek jhalak ko chhichhaltī nazar se dekh ke jī bhar lene do
ham is duniyā ke musāfir haiñ
aur qāfila hai har aan ravāñ
har bastī har jañgal sahrā aur ruup manohar parbat kā
ik lamha man ko lubhā.egā ik lamha nazar meñ aa.egā
har manzar har insāñ kī dayā aur mīThā jaadū aurat kā
ik pal ko hamāre bas meñ hai pal biitā sab miT jā.egā
is ek jhalak ko chhichhaltī nazar se dekh ke jī bhar lene do
tum is ko havas kyuuñ kahte ho
kiyā daad jo ik lamhe kī ho vo daad nahīñ kahlā.egī
hai chāñd falak par ik lamha
aur ik lamha ye sitāre haiñ
aur umr kā arsa bhī socho ik lamha hai
bas dekha aur phir bhul gae
jab husn nigahon mein aaya
man-sagar mein tufan uTha
tufan ko chanchal dekh Dari aakash ki ganga dudh-bhari
aur chand chhupa tare soe tufan miTa har baat gai
dil bhul gaya pahli puja man mandir ki murat TuTi
din laya baaten anjaani phir din bhi naya aur raat nai
pitam bhi nai paremi bhi naya sukh sej nai har baat nai
ek pal ko aai nigahon mein jhilmil karti pahli
sundarta aur phir bhul gae
mat jaano hamein tum harjai
harjai kyun kaise kaise
kya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi
jo baat ho dil ki aankhon ki
tum us ko hawas kyun kahte ho
jitni bhi jahan ho jalwagari us se dil ko garmane do
jab tak hai zamin
jab tak hai zaman
ye husn o numaish jari hai
is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do
hum is duniya ke musafir hain
aur qafila hai har aan rawan
har basti har jangal sahra aur rup manohar parbat ka
ek lamha man ko lubhaega ek lamha nazar mein aaega
har manzar har insan ki daya aur miTha jadu aurat ka
ek pal ko hamare bas mein hai pal bita sab miT jaega
is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do
tum is ko hawas kyun kahte ho
kiya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi
hai chand falak par ek lamha
aur ek lamha ye sitare hain
aur umr ka arsa bhi socho ek lamha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.