chal yar chalen
chal yaar chaleñ alfāz kī duniyā se bāhar
jahāñ ḳhāmoshī ke Dere hoñ
jahāñ lab par chup ke taale huuñ
jahāñ aañkh zabāñ kā kaam kare
jahāñ añgḌā.ī meñ bāteñ hoñ
jahāñ harf faqat be-ma.anī hoñ
jahāñ ishq kā rañg rūhānī ho
jahāñ rūheñ jism tabdīl kareñ
jahāñ ghanghor ghaTā ho sāvan kī
jahāñ bhādoñ barkhā chhātī ho
jahāñ nahreñ ruup kī bahtī hoñ
jahāñ ThanDī dhuup kī chādar ho
jahāñ husn ho taḳht-nashīñ sanam
chal yaar chaleñ us paar chaleñ
ye duniyā ab nahīñ raas hameñ
chal yar chalen alfaz ki duniya se bahar
jahan KHamoshi ke Dere hon
jahan lab par chup ke tale hun
jahan aankh zaban ka kaam kare
jahan angDai mein baaten hon
jahan harf faqat be-mani hon
jahan ishq ka rang ruhani ho
jahan ruhen jism tabdil karen
jahan ghanghor ghaTa ho sawan ki
jahan bhadon barkha chhati ho
jahan nahren rup ki bahti hon
jahan ThanDi dhup ki chadar ho
jahan husn ho taKHt-nashin sanam
chal yar chalen us par chalen
ye duniya ab nahin ras hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.