chala aa raha hun samundaron ke visal se
chalā aa rahā huuñ samundaroñ ke visāl se
ka.ī lazzatoñ kā sitam liye
jo samundaroñ ke fusūñ meñ haiñ
mirā zehn hai vo sanam liye
vahī reg-zār hai sāmne
vahī reg-zār ki jis meñ ishq ke aa.ine
kisī dast-e-ġhaib se TuuT kar
rah-e-tār-e-jāñ meñ bikhar ga.e!
abhī aa rahā huuñ samundaroñ kī mahak liye
vo thapak liye jo samundaroñ kī nasīm meñ
hai hazār rañg se ḳhvāb-hā-e-ḳhunuk liye
chalā aa rahā huuñ samundaroñ kā namak liye
ye barahnagī-e-azīm terī dikhā.ūñ maiñ
(jo gadā-gadī kā bahāna hai)
koī rāh-rau ho to us se raah kī dāstāñ
maiñ sunūñ fasāna samundaroñ kā sunā.ūñ maiñ
(ki samundaroñ kā fasāna ishq kī gastarash kā fasāna hai)
ye barahnagī jise dekh kar baḌheñ dast o pā na khule zabāñ
na ḳhayāl hī meñ rahe tavāñ
to vo reg-zār ki jaise rah-zan-e-pīr ho
jise tab-e-rāh-zanī na ho
ki misāl-e-tā.er-e-nīm-jāñ
jise yād-e-bāl-o-parī na ho
kisī rāh-rau se umīd-e-rahm-o-karam liye
maiñ bharā huā huuñ samundaroñ ke jalāl se
chalā aa rahā huuñ maiñ sāhiloñ kā hasham liye
hai abhī inhī kī taraf mirā dar-e-dil khulā
ki nasīm-e-ḳhandā ko rah mile
mirī tīrgī ko nigah mile
vo surūr-o-soz-e-sadaf abhī mujhe yaad hai
abhī chāTtī hai samundaroñ kī zabāñ mujhe
mire paañv chhū ke nikal ga.ī koī mauj-e-sāz ba-kaf abhī
vo halāvateñ mire hast o buud meñ bhar ga.iiñ
vo jazīre jin ke ufuq hujūm-e-sahar se dīd-bahār the
vo parinde apnī talab meñ jo sar-e-kār the
vo parinde jin kī safīr meñ thiiñ risālateñ
abhī us safīr kī jalvateñ mire ḳhuuñ meñ haiñ
abhī zehn hai vo sanam liye
jo samundaroñ ke fusūñ meñ haiñ
chalā aa rahā huuñ samundaroñ ke jamāl se
sadaf o kanār kā ġham liye
chala aa raha hun samundaron ke visal se
kai lazzaton ka sitam liye
jo samundaron ke fusun mein hain
mera zehn hai wo sanam liye
wahi reg-zar hai samne
wahi reg-zar ki jis mein ishq ke aaine
kisi dast-e-ghaib se TuT kar
rah-e-tar-e-jaan mein bikhar gae!
abhi aa raha hun samundaron ki mahak liye
wo thapak liye jo samundaron ki nasim mein
hai hazar rang se KHwab-ha-e-KHunuk liye
chala aa raha hun samundaron ka namak liye
ye barahnagi-e-azim teri dikhaun main
(jo gada-gadi ka bahana hai)
koi rah-rau ho to us se rah ki dastan
main sunun fasana samundaron ka sunaun main
(ki samundaron ka fasana ishq ki gastarash ka fasana hai)
ye barahnagi jise dekh kar baDhen dast o pa na khule zaban
na KHayal hi mein rahe tawan
to wo reg-zar ki jaise rah-zan-e-pir ho
jise tab-e-rah-zani na ho
ki misal-e-taer-e-nim-jaan
jise yaad-e-baal-o-pari na ho
kisi rah-rau se umid-e-rahm-o-karam liye
main bhara hua hun samundaron ke jalal se
chala aa raha hun main sahilon ka hasham liye
hai abhi inhi ki taraf mera dar-e-dil khula
ki nasim-e-KHanda ko rah mile
meri tirgi ko nigah mile
wo surur-o-soz-e-sadaf abhi mujhe yaad hai
abhi chaTti hai samundaron ki zaban mujhe
mere panw chhu ke nikal gai koi mauj-e-saz ba-kaf abhi
wo halawaten mere hast o bud mein bhar gain
wo jazire jin ke ufuq hujum-e-sahar se did-bahaar the
wo parinde apni talab mein jo sar-e-kar the
wo parinde jin ki safir mein thin risalaten
abhi us safir ki jalwaten mere KHun mein hain
abhi zehn hai wo sanam liye
jo samundaron ke fusun mein hain
chala aa raha hun samundaron ke jamal se
sadaf o kanar ka gham liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.