chali aana agar tum tak meri aawaz ja pahunche
ye raushan sub.h ye mīThe suroñ meñ panchhiyoñ ke gaan
kisī kamsin kī dastak se uThī ye nūpuroñ kī taan
chaTak phūloñ kī rang-o-bū pe iThlāte hue dālān
hañseñ haiñ par tumhāre bin mere jī ko nahīñ bhāte
phir ab kī baar zaa.e.a ho na jaa.e sardiyoñ kī dhuup
ye sub.h-o-shām puujā archanā ye mandiroñ kī dhuup
kisī dil meñ tulūa hotī huī ye hasratoñ kī dhuup
nigal jaa.e na koī shām-e-ġham añgḌā.iyāñ bhar ke
zamāna ke satā.e duur se aa.e hue haiñ ham
mere ḳhvāboñ kī malika āshnā tum se nahīñ ye ġham
jo tum milne chalī aao mahak uTTheñ ye do aalam
qasam hai tum ko aa jaanā tumheñ chāhe jahāñ roke
chalī aanā agar tum tak mirī āvāz jā pahuñche
ye raushan subh ye miThe suron mein panchhiyon ke gan
kisi kamsin ki dastak se uThi ye nupuron ki tan
chaTak phulon ki rang-o-bu pe iThlate hue dalan
hansen hain par tumhaare bin mere ji ko nahin bhate
phir ab ki bar zaea ho na jae sardiyon ki dhup
ye subh-o-sham puja archana ye mandiron ki dhup
kisi dil mein tulua hoti hui ye hasraton ki dhup
nigal jae na koi sham-e-gham angDaiyan bhar ke
zamana ke satae dur se aae hue hain hum
mere KHwabon ki malika aashna tum se nahin ye gham
jo tum milne chali aao mahak uTThen ye do aalam
qasam hai tum ko aa jaana tumhein chahe jahan roke
chali aana agar tum tak meri aawaz ja pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.