chalo chhoDo
chalo chhoḌo
mohabbat jhuuT hai
ahd-e-vafā ik shaġhl hai be-kār logoñ kā
talab sūkhe hue pattoñ kā be-raunaq jazīra hai
ḳhalish dīmak-zada aurāq par bosīda satroñ kā zaḳhīra hai
ḳhummār-e-vasl taptī dhuup ke siine pe uḌte bādaloñ kī rā.egāñ baḳhshish!
ġhubār-e-hijr-e-sahrā meñ sarāboñ se aTe mausam kā ḳhamyāza
chalo chhoḌo
ki ab tak maiñ añdheroñ kī dhamak meñ saañs kī zarboñ pe
chāhat kī binā rakh kar safar kartā rahā hūñgā
mujhe ehsās hī kab thā
ki tum bhī mausamoñ ke saath apne pairahan ke rañg badlogī
chalo chhoḌo
vo saare ḳhvāb kachchī bharbharī miTTī ke be-qīmat gharauñde the
vo saare zā.iqe merī zabāñ par zaḳhm ban kar jam ga.e hoñge
tumhārī uñgliyoñ kī naram poreñ pattharoñ par naam likhtī thiiñ mirā lekin
tumhārī uñgliyāñ to ādatan ye jurm kartī thiiñ
chalo chhoḌo
safar meñ ajnabī logoñ se aise hādse sarzad huā karte haiñ sadiyoñ se
chalo chhoḌo
mirā honā na honā ik barābar hai
tum apne ḳhāl-o-ḳhad ko ā.īne meñ phir nikharne do
tum apnī aañkh kī bastī meñ phir se ik nayā mausam utarne do
mire ḳhvāboñ ko marne do
na.ī tasvīr dekho
phir nayā maktūb likho
phir na.e mausam na.e lafzoñ se apnā silsila joḌo
mire maazī kī chāhat rā.egāñ samjho
mirī yādoñ se kachche rābte toḌo
chalo chhoḌo
mohabbat jhuuT hai
ahd-e-vafā ik shaġhl hai be-kār logoñ kā
chalo chhoDo
mohabbat jhuT hai
ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka
talab sukhe hue patton ka be-raunaq jazira hai
KHalish dimak-zada auraq par bosida satron ka zaKHira hai
KHummar-e-wasl tapti dhup ke sine pe uDte baadalon ki raegan baKHshish!
ghubar-e-hijr-e-sahra mein sarabon se aTe mausam ka KHamyaza
chalo chhoDo
ki ab tak main andheron ki dhamak mein sans ki zarbon pe
chahat ki bina rakh kar safar karta raha hunga
mujhe ehsas hi kab tha
ki tum bhi mausamon ke sath apne pairahan ke rang badlogi
chalo chhoDo
wo sare KHwab kachchi bharbhari miTTi ke be-qimat gharaunde the
wo sare zaiqe meri zaban par zaKHm ban kar jam gae honge
tumhaari ungliyon ki naram poren pattharon par nam likhti thin mera lekin
tumhaari ungliyan to aadatan ye jurm karti thin
chalo chhoDo
safar mein ajnabi logon se aise hadse sarzad hua karte hain sadiyon se
chalo chhoDo
mera hona na hona ek barabar hai
tum apne KHal-o-KHad ko aaine mein phir nikharne do
tum apni aankh ki basti mein phir se ek naya mausam utarne do
mere KHwabon ko marne do
nai taswir dekho
phir naya maktub likho
phir nae mausam nae lafzon se apna silsila joDo
mere mazi ki chahat raegan samjho
meri yaadon se kachche rabte toDo
chalo chhoDo
mohabbat jhuT hai
ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 725)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.