nukīle nāḳhunoñ se apnī qabreñ khodte jaao
thakan se chuur chehroñ par
abhī tak sharm ke āsār baaqī haiñ
añdheroñ ke kisī pātāl meñ
utre chale jaao
tumhāre ratjagoñ ne niiñd ko pāmāl kar Daalā
saḳhī ā.ankhoñ ke ashkoñ ne tumheñ kañgāl kar Daalā
tumhārī be-dilī kā karb ab dekhā nahīñ jaatā
chalo tum ko kisī ik ghūmtī kursī pe biThlā deñ
nukile naKHunon se apni qabren khodte jao
thakan se chur chehron par
abhi tak sharm ke aasar baqi hain
andheron ke kisi patal mein
utre chale jao
tumhaare ratjagon ne nind ko pamal kar Dala
saKHi aaankhon ke ashkon ne tumhein kangal kar Dala
tumhaari be-dili ka karb ab dekha nahin jata
chalo tum ko kisi ek ghumti kursi pe biThla den
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 558)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.