chaman mein humne dekhe hain
chaman meñ ham ne dekhe haiñ
bahut hī ḳhūbsūrat phuul
alag rañgat bhī hai un kī
judā ḳhushbū bhī hai un kī
havā chaltī hai jab bhī to
sabhī phūloñ ko aapas meñ
gale milte hī dekhā hai
sadā hañste hī dekhā hai
kabhī laḌte nahīñ dekhā
hamārā mulk bhī 'mīnā'
chaman ke hī to jaisā hai
sabhī maz.hab yahāñ par haiñ
zabāneñ bhī bahut sī haiñ
magar ham log laḌte haiñ
jalan aapas meñ rakhte haiñ
mohabbat kyuuñ nahīñ karte
chalo ab saarī nafrat ko
jalan ko aur adāvat ko
miTāne kī qasam khā.eñ
diloñ meñ prem dīpak phir
jalāne kī qasam khā.eñ
mohabbat aur uḳhuvvat ke
sharāfat ke sadāqat ke
sabaq sab ko sikhā.eñ ham
gale sab ko lagā.eñ ham
sabhī dharmoñ ke logo ko
sikhā.eñ kyā hai yak-jehtī
ye sapnā to hamārā hai
ye sab sākār ho jaa.e
hamārā pyaar jo dekhe
use bhī pyaar ho jaa.e
hamārī ab ye koshish ho
har insāñ ho saman jaisā
hamārī ab ye koshish ho
vatan bhī ho chaman jaisā
chaman mein hum ne dekhe hain
bahut hi KHubsurat phul
alag rangat bhi hai un ki
juda KHushbu bhi hai un ki
hawa chalti hai jab bhi to
sabhi phulon ko aapas mein
gale milte hi dekha hai
sada hanste hi dekha hai
kabhi laDte nahin dekha
hamara mulk bhi 'mina'
chaman ke hi to jaisa hai
sabhi mazhab yahan par hain
zabanen bhi bahut si hain
magar hum log laDte hain
jalan aapas mein rakhte hain
mohabbat kyun nahin karte
chalo ab sari nafrat ko
jalan ko aur adawat ko
miTane ki qasam khaen
dilon mein prem dipak phir
jalane ki qasam khaen
mohabbat aur uKHuwwat ke
sharafat ke sadaqat ke
sabaq sab ko sikhaen hum
gale sab ko lagaen hum
sabhi dharmon ke logo ko
sikhaen kya hai yak-jehti
ye sapna to hamara hai
ye sab sakar ho jae
hamara pyar jo dekhe
use bhi pyar ho jae
hamari ab ye koshish ho
har insan ho saman jaisa
hamari ab ye koshish ho
watan bhi ho chaman jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.