chamko chamko pyare taro
chamko chamko pyāre taaro
rañgoñ aur ummīdoñ vaale
āñkhoñ meñ phir ḳhvāb utāro
chamko chamko pyāre taaro
raat bahut hai kaalī kaalī
galiyāñ haiñ sab ḳhālī ḳhālī
havā chale to Dar lagtā hai
suunā suunā ghar lagtā hai
raushan saare manzar kar do
duniyā ko ḳhushiyoñ se bhar do
chamko chamko pyāre taaro
chupke se khiḌkī meñ aao
achchhe achchhe giit sunāo
sab se bach kar sab se chhup ke
baat kareñge chupke chupke
bādal se tum duur hī rahnā
jo kahnā ho ham se kahnā
chamko chamko pyāre taaro
rañgoñ aur ummīdoñ vaale
āñkhoñ meñ phir ḳhvāb utāro
chamko chamko pyāre taaro
chamko chamko pyare taro
rangon aur ummidon wale
aankhon mein phir KHwab utaro
chamko chamko pyare taro
raat bahut hai kali kali
galiyan hain sab KHali KHali
hawa chale to Dar lagta hai
suna suna ghar lagta hai
raushan sare manzar kar do
duniya ko KHushiyon se bhar do
chamko chamko pyare taro
chupke se khiDki mein aao
achchhe achchhe git sunao
sab se bach kar sab se chhup ke
baat karenge chupke chupke
baadal se tum dur hi rahna
jo kahna ho hum se kahna
chamko chamko pyare taro
rangon aur ummidon wale
aankhon mein phir KHwab utaro
chamko chamko pyare taro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.