chand lamhe visal-mausam ke
dard kī ek be-karāñ rut hai
habs mausam kā raaj har jānib
chand lamhe visāl-mausam ke
vo nashīlī ġhazāl sī āñkheñ
koī ḳhushbū siyāh zulfoñ kī
lams phir vo hinā.ī hāthoñ kā
koī surḳhī vafā ke paikar kī
phir se shīrīñ-dahan se bāteñ hoñ
dil kī duniyā udaas hai kitnī
koī manzar bhī ab nahīñ bhātā
chand lamhe visāl-mausam ke
dard ki ek be-karan rut hai
habs mausam ka raj har jaanib
chand lamhe visal-mausam ke
wo nashili ghazal si aankhen
koi KHushbu siyah zulfon ki
lams phir wo hinai hathon ka
koi surKHi wafa ke paikar ki
phir se shirin-dahan se baaten hon
dil ki duniya udas hai kitni
koi manzar bhi ab nahin bhata
chand lamhe visal-mausam ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.