chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
zindagī hai to koī baat nahīñ hai ai dost
zindagī hai to badal jā.eñge ye lail o nahār
ye shab o roz, mah o saal guzar jā.eñge
ham se be-mehr zamāne kī nazar ke atvār
aaj bigḌe haiñ to ik roz sañvar jā.eñge
fāsloñ marhaloñ rāhoñ kī judā.ī kyā hai
dil mile haiñ to nigāhoñ kī judā.ī kyā hai
kulfat-e-zīst se insān pareshāñ hī sahī
ziist āshob-e-ġham-e-marg kā tūfāñ hī sahī
mil hī jaatā hai safīnoñ ko kinārā āḳhir
zindagī DhūñD hī letī hai sahārā āḳhir
ik na ik roz shab-e-ġham kī sahar bhī hogī
zindagī hai to masarrat se basar bhī hogī
zindagī hai to koī baat nahīñ hai ai dost!
zindagi hai to koi baat nahin hai ai dost
zindagi hai to badal jaenge ye lail o nahaar
ye shab o roz, mah o sal guzar jaenge
hum se be-mehr zamane ki nazar ke atwar
aaj bigDe hain to ek roz sanwar jaenge
faslon marhalon rahon ki judai kya hai
dil mile hain to nigahon ki judai kya hai
kulfat-e-zist se insan pareshan hi sahi
zist aashob-e-gham-e-marg ka tufan hi sahi
mil hi jata hai safinon ko kinara aaKHir
zindagi DhunD hi leti hai sahaara aaKHir
ek na ek roz shab-e-gham ki sahar bhi hogi
zindagi hai to masarrat se basar bhi hogi
zindagi hai to koi baat nahin hai ai dost!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.