chanda-mama aur pariyan
sab bachchoñ ke raaj dulāre
chandā-māmā pyāre pyāre
duur se chamkeñ paas na aa.eñ
nannhī ke vo dil ko bhā.eñ
raushan raushan un kā chehra
jis par de ik bādal pahra
nannhī kī naanī kahtī haiñ
chāñd pe kuchh pariyāñ rahtī haiñ
pariyāñ jab bhī par phailā.eñ
chandā-māmā ḳhush ho jaa.eñ
chāñd pe jab bādal chhā jaa.eñ
chāñd kī pariyāñ phir uḌ jaa.eñ
sab bachchon ke raj dulare
chanda-mama pyare pyare
dur se chamken pas na aaen
nannhi ke wo dil ko bhaen
raushan raushan un ka chehra
jis par de ek baadal pahra
nannhi ki nani kahti hain
chand pe kuchh pariyan rahti hain
pariyan jab bhi par phailaen
chanda-mama KHush ho jaen
chand pe jab baadal chha jaen
chand ki pariyan phir uD jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.