chanda mamun
chandā māmūñ ghar meñ tumhāre ham bhī ik din ā.eñge
rocket meñ ākāsh ke uupar sair ko ham bhī jā.eñge
pahle to ham kahte the ki chandā māmūñ duur ke
aa pakḌeñge ik din tum ko dekho na ham ko ghuur ke
dekheñge ham uupar aa kar sach-much pariyāñ rahtī haiñ
jin pariyoñ kī roz kahānī daadī ammāñ kahtī haiñ
nanhe munne bachche bhī kyā chāñd nagar meñ rahte haiñ
cricket tennis khelte haiñ kyā schōloñ meñ paḌhte haiñ
bachchoñ ko kyā khel khilaunā koī vahāñ mil jaatā hai
laḌte haiñ sab aapas meñ yā pyaar kā un meñ naatā hai
khet vahāñ bhī hote haiñ kyā baaġh vahāñ bhī hote haiñ
giit sunātī chiḌiyāñ haiñ yā bāteñ karte tote haiñ
chanda mamun ghar mein tumhaare hum bhi ek din aaenge
rocket mein aakash ke upar sair ko hum bhi jaenge
pahle to hum kahte the ki chanda mamun dur ke
aa pakDenge ek din tum ko dekho na hum ko ghur ke
dekhenge hum upar aa kar sach-much pariyan rahti hain
jin pariyon ki roz kahani dadi amman kahti hain
nanhe munne bachche bhi kya chand nagar mein rahte hain
cricket tennis khelte hain kya schoolon mein paDhte hain
bachchon ko kya khel khilauna koi wahan mil jata hai
laDte hain sab aapas mein ya pyar ka un mein nata hai
khet wahan bhi hote hain kya bagh wahan bhi hote hain
git sunati chiDiyan hain ya baaten karte tote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.