charagh-e-mohabbat
syāhī kudūrat kī dil se nikālo
nazar ko mohabbat ke sāñche meñ Dhālo
vatan ke ta.ayyun se baalā hai momin
zamāne kā nazm-e-gulistāñ sañbhālo
nigār-e-chaman ke tashaḳhḳhus kī ḳhātir
uḳhuvvat sadāqat ko sheva banā lo
mohabbat kā bhūkā hai saarā zamāna
zamāne ko baḌh kar gale se lagā lo
kisī kā sahārā sar-e-rāh ban kar
agar ho sake to ye nekī kamā lo
nazar aa.e koī agar dukh parāyā
na katrāo us dukh ko apnā banā lo
hai zulmat-kada gosha-e-dil bhī jis kā
charāġh-e-mohabbat se us ko ujālo
syahi kudurat ki dil se nikalo
nazar ko mohabbat ke sanche mein Dhaalo
watan ke tayyun se baala hai momin
zamane ka nazm-e-gulistan sanbhaalo
nigar-e-chaman ke tashaKHKHus ki KHatir
uKHuwwat sadaqat ko shewa bana lo
mohabbat ka bhuka hai sara zamana
zamane ko baDh kar gale se laga lo
kisi ka sahaara sar-e-rah ban kar
agar ho sake to ye neki kama lo
nazar aae koi agar dukh paraya
na katrao us dukh ko apna bana lo
hai zulmat-kada gosha-e-dil bhi jis ka
charagh-e-mohabbat se us ko ujalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.