charagh
na dostī na dushmanī
merā kaam to hai raushnī
maiñ rāste kā charāġh huuñ
kaho sar-phirī havāoñ se
na chaleñ Thumak-adāoñ se
kabhī phir karūñgā mohabbateñ
abhī sāmne haiñ zulmateñ
ye añdherā pahle noch luuñ
koī chaal aglī soch luuñ
maiñ gum huuñ apne ḳhayāl meñ
ye jaan lo ki is lamhe
maiñ dil nahīñ dimāġh huuñ
maiñ rāste kā charāġh huuñ
merā kaam to hai raushnī
na dostī na dushmanī
na dosti na dushmani
mera kaam to hai raushni
main raste ka charagh hun
kaho sar-phiri hawaon se
na chalen Thumak-adaon se
kabhi phir karunga mohabbaten
abhi samne hain zulmaten
ye andhera pahle noch lun
koi chaal agli soch lun
main gum hun apne KHayal mein
ye jaan lo ki is lamhe
main dil nahin dimagh hun
main raste ka charagh hun
mera kaam to hai raushni
na dosti na dushmani
- Book : Ek Maheena Nazmon ka (Pg. 40)
- Author : Irshad Kamil
- Publication : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.