charagh jab mera kamra napta hai
charāġh ne phuul ko janm denā shurūa kar diyā hai
duur bahut duur merā janm din rahtā hai
āñgan meñ dhuup na aa.e to samho
tum kisī ġhair-ābād ilāqe meñ rahte ho
miTTī meñ mere badan kī TūT-phūT paḌī hai
hamāre ḳhvāboñ meñ chaap kaun chhoḌ jaatā hai
raat ke sannāTe meñ TūTte hue charāġh
raat kī chādar pe phailtī huī sub.h
maiñ bikhrī patiyāñ uThātī huuñ
tum samundar ke dāman meñ
kisī bhī lahr ko utar jaane do
aur phir jab insānoñ kā sannāTā hotā hai
hameñ marne kī mohlat nahīñ dī jaatī
kyā ḳhvāhish kī miyān meñ
hamāre hausle rakhe hue hote haiñ
har vafādār lamha hameñ churā le jaatā hai
raat kā pahlā qadam hai
aur maiñ paidal huuñ
baisākhiyoñ kā chāñd banāne vaale
mere āñgan kī chhāñv luT chukī
merī āñkheñ mare hue bachche haiñ
aur phir merī TūT-phūT
samundar kī TuuT phuuT ho jaatī hai
maiñ qarīb se nikal jā.ūñ
koī samt-e-safar kī pahchān nahīñ kar saktī
shaam kī TuuTī muñDer se
hamāre talātum pe
aaj raat kī tartīb ho rahī hai
musāfir apne sañg-e-mīl kī hifāzat kartā hai
charāġh kamra nāptā hai
aur ġham mere dil se janm letā hī hai
zamīn hairat kartī hai
aur ek peḌ ugā detī hai
charagh ne phul ko janm dena shurua kar diya hai
dur bahut dur mera janm din rahta hai
aangan mein dhup na aae to samho
tum kisi ghair-abaad ilaqe mein rahte ho
miTTi mein mere badan ki TuT-phuT paDi hai
hamare KHwabon mein chap kaun chhoD jata hai
raat ke sannaTe mein TuTte hue charagh
raat ki chadar pe phailti hui subh
main bikhri patiyan uThati hun
tum samundar ke daman mein
kisi bhi lahr ko utar jaane do
aur phir jab insanon ka sannaTa hota hai
hamein marne ki mohlat nahin di jati
kya KHwahish ki miyan mein
hamare hausle rakhe hue hote hain
har wafadar lamha hamein chura le jata hai
raat ka pahla qadam hai
aur main paidal hun
baisakhiyon ka chand banane wale
mere aangan ki chhanw luT chuki
meri aankhen mare hue bachche hain
aur phir meri TuT-phuT
samundar ki TuT phuT ho jati hai
main qarib se nikal jaun
koi samt-e-safar ki pahchan nahin kar sakti
sham ki TuTi munDer se
hamare talatum pe
aaj raat ki tartib ho rahi hai
musafir apne sang-e-mil ki hifazat karta hai
charagh kamra napta hai
aur gham mere dil se janm leta hi hai
zamin hairat karti hai
aur ek peD uga deti hai
- Book : Aankhen(rekhta website) (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.