charaghan
ek do hī nahīñ chhabbīs diye
ek ik kar ke jalā.e maiñ ne
ek diyā naam kā āzādī ke
us ne jalte hue hoñToñ se kahā
chāhe jis mulk se gehūñ māñgo
haath phailāne kī āzādī hai
ik diyā naam kā ḳhush-hālī ke
us ke jalte hī ye ma.alūm huā
kitnī bad-halī hai
peT ḳhālī hai mirā jeb mirī ḳhālī hai
ik diyā naam kā yak-jehtī ke
raushnī us kī jahāñ tak pahuñchī
qaum ko laḌte jhagaḌte dekhā
maañ ke āñchal meñ haiñ jitne paivand
sab ko ik saath udhaḌte dekhā
duur se biivī ne jhallā ke kahā
tel mahñgā bhī hai miltā bhī nahīñ
kyuuñ diye itne jalā rakkhe haiñ
apne ghar meñ na jharoka na muñDer
taaq sapnoñ ke sajā rakkhe haiñ
aayā ġhusse kā ik aisā jhoñkā
bujh ga.e saare diye
haañ magar ek diyā naam hai jis kā ummīd
jhilmilātā hī chalā jaatā hai
ek do hi nahin chhabbis diye
ek ek kar ke jalae main ne
ek diya nam ka aazadi ke
us ne jalte hue honTon se kaha
chahe jis mulk se gehun mango
hath phailane ki aazadi hai
ek diya nam ka KHush-haali ke
us ke jalte hi ye malum hua
kitni bad-hali hai
peT KHali hai mera jeb meri KHali hai
ek diya nam ka yak-jehti ke
raushni us ki jahan tak pahunchi
qaum ko laDte jhagaDte dekha
man ke aanchal mein hain jitne paiwand
sab ko ek sath udhaDte dekha
dur se biwi ne jhalla ke kaha
tel mahnga bhi hai milta bhi nahin
kyun diye itne jala rakkhe hain
apne ghar mein na jharoka na munDer
taq sapnon ke saja rakkhe hain
aaya ghusse ka ek aisa jhonka
bujh gae sare diye
han magar ek diya nam hai jis ka ummid
jhilmilata hi chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.