charlie-chaplin
'charlie-chaplin' ne kahā
use bārish meñ chalnā pasand hai
kyūñki tab koī us ke
aañsū nahīñ dekh paatā
us ne chaar shādiyāñ kiiñ
aur baara muāshiqe
aurteñ us par fidā thiiñ
vo unheñ kisī bhī vaqt
joy-ride de saktā thā
jab 'charlie' ke pairoñ meñ
phaTe hue juute huā karte the
ek aurat ne us kī mohabbat
mustarad kar dī thī
us ne bārish meñ chalnā shurūa kar diyā
koī us ke aañsū
nahīñ dekh pā rahā thā
use hañsī aa ga.ī
vo ye hañsī faroḳht karne lagā
us kī filmeñ dekh kar
vo log bahut hañste haiñ
jo āñsuoñ ko bārish se
alag nahīñ kar paate
jinhoñ ne chhup kar
nahīñ dekhā hotā apnī mahbūba ko
jab un ke pairoñ meñ juute
zaḳhmoñ kī tarah khule paḌe hote haiñ
vo jin ke paas
phaTe hue juute hote haiñ
un ke paas ek kahānī bhī hotī hai
'charlie-chaplin' ke paas bhī ek kahānī thī
jis ne ek bārish meñ use rulā diyā
ek roz use ilm huā
us aurat ko mare das saal ho ga.e
āsmān saaf thā
'charlie-chaplin' ne rone ke liye
kisī bārish kā intizār nahīñ kiyā
'charlie-chaplin' ne kaha
use barish mein chalna pasand hai
kyunki tab koi us ke
aansu nahin dekh pata
us ne chaar shadiyan kin
aur bara muashiqe
aurten us par fida thin
wo unhen kisi bhi waqt
joy-ride de sakta tha
jab 'charlie' ke pairon mein
phaTe hue jute hua karte the
ek aurat ne us ki mohabbat
mustarad kar di thi
us ne barish mein chalna shurua kar diya
koi us ke aansu
nahin dekh pa raha tha
use hansi aa gai
wo ye hansi faroKHt karne laga
us ki filmen dekh kar
wo log bahut hanste hain
jo aansuon ko barish se
alag nahin kar pate
jinhon ne chhup kar
nahin dekha hota apni mahbuba ko
jab un ke pairon mein jute
zaKHmon ki tarah khule paDe hote hain
wo jin ke pas
phaTe hue jute hote hain
un ke pas ek kahani bhi hoti hai
'charlie-chaplin' ke pas bhi ek kahani thi
jis ne ek barish mein use rula diya
ek roz use ilm hua
us aurat ko mare das sal ho gae
aasman saf tha
'charlie-chaplin' ne rone ke liye
kisi barish ka intizar nahin kiya
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.