charwahe ka KHwab
charvāhā ḳhvāb dekhtā hai
us kī ek bheḌ gum ho ga.ī
sirf unchās bheḌeñ baaqī haiñ
charvāhā ḳhvāb dekhtā hai
us kī tiin bheḌeñ zaḳhmī haiñ
sirf chhiyālis baaqī haiñ
charvāhā ḳhvāb dekhtā hai
bheḌiye ne us ke gale par hamla kar diyā
bhāgtī muntashir hotī bheḌoñ meñ se pīchhe rah jaane vaalī ek bhiiḌ aur kam ho ga.ī
pachās ḳhauf-zada bheḌeñ dekhtī haiñ
so.e hue charvāhe ko bheḌiyā ghasīT kar le jā rahā hai
charwaha KHwab dekhta hai
us ki ek bheD gum ho gai
sirf unchas bheDen baqi hain
charwaha KHwab dekhta hai
us ki tin bheDen zaKHmi hain
sirf chhiyalis baqi hain
charwaha KHwab dekhta hai
bheDiye ne us ke gale par hamla kar diya
bhagti muntashir hoti bheDon mein se pichhe rah jaane wali ek bhiD aur kam ho gai
pachas KHauf-zada bheDen dekhti hain
soe hue charwahe ko bheDiya ghasiT kar le ja raha hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 230)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.