chashm-e-sawal!
haañ ai ġharīb laḌkī tū bhiik māñgtī hai
chashm-e-savāl terī kuchh kah ke jhuk ga.ī hai
tū bhiik māñgtī hai sharm-o-hayā kī maarī
aur sar se le ke pā tak hai kapkapī sī taarī
āñkhoñ meñ hai namī sī ā.īna sī jabīñ hai
tujh ko gadāgarī kī aadat abhī nahīñ hai
qismat meñ gesuoñ kī ā.īna hai na shāna
shāyad tirī nazar meñ tārīk hai zamāna
ye terā jism-e-nāzuk bosīda pairahan meñ
jaise gul-e-fasurda ujḌe hue chaman meñ
jhuk jaa.eñ tere aage shaitān kī nigāheñ
par khā rahī haiñ tujh ko insān kī nigāheñ
pākīzgī pe terī siitā ko pyaar aa.e
ma.asūmiyat pe tujh ko maryam gale lagā.e
hūreñ lapak ke chūmeñ, paa.eñ qadam jo tere
har naqsh-e-pā pe tere sajde kareñ farishte
ai kaash vo batā.e hai jis kī ye ḳhudā.ī
ye chashm-e-nargisī hai yā kāsa-e-gadā.ī!
lab haiñ ki pattharoñ ke TukḌe jame hue haiñ!
ruḳh haiñ ki rahguzar ke bujhte hue diye haiñ!
han ai gharib laDki tu bhik mangti hai
chashm-e-sawal teri kuchh kah ke jhuk gai hai
tu bhik mangti hai sharm-o-haya ki mari
aur sar se le ke pa tak hai kapkapi si tari
aankhon mein hai nami si aaina si jabin hai
tujh ko gadagari ki aadat abhi nahin hai
qismat mein gesuon ki aaina hai na shana
shayad teri nazar mein tarik hai zamana
ye tera jism-e-nazuk bosida pairahan mein
jaise gul-e-fasurda ujDe hue chaman mein
jhuk jaen tere aage shaitan ki nigahen
par kha rahi hain tujh ko insan ki nigahen
pakizgi pe teri sita ko pyar aae
masumiyat pe tujh ko maryam gale lagae
huren lapak ke chumen, paen qadam jo tere
har naqsh-e-pa pe tere sajde karen farishte
ai kash wo batae hai jis ki ye KHudai
ye chashm-e-nargisi hai ya kasa-e-gadai!
lab hain ki pattharon ke TukDe jame hue hain!
ruKH hain ki rahguzar ke bujhte hue diye hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.