chautha aasman
aur maiñ ne ḳhudā se kahā
dekh terī maḳhlūq
chauthe āsmān par aa ga.ī hai
to parda-e-ġhaib se āvāz aa.ī
''kun''
aur palak jhapakte meñ
saat aur āsmān
chauthe āsmān par phail ga.e!
aur mere andar
ik aur jañgal ug āyā!!
aur main ne KHuda se kaha
dekh teri maKHluq
chauthe aasman par aa gai hai
to parda-e-ghaib se aawaz aai
kun
aur palak jhapakte mein
sat aur aasman
chauthe aasman par phail gae!
aur mere andar
ek aur jangal ug aaya!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.