chehra tera
sard rātoñ kā hasīñ ik ḳhvāb hai chehra tirā
kyā kahūñ bas manzar-e-nāyāb hai chehra tirā
nik.hat-e-gesū ko terī nik.hat-e-sumbul likhūñ
tere narm-o-nāzuk in hoñToñ ko barg-e-gul likhūñ
aarzū par ye araq lagtā hai shabnam kī tarah
aur sanī is meñ laTeñ lagtī hai resham kī tarah
jaise koī gulshan-e-shādāb hai chehra tirā
kyā kahūñ bas manzar-e-nāyāb hai chehra tirā
nuur se kuchh is tarah hai chashm terī tar-ba-tar
chāñdnī kā aks joñ utrā ho sat.h-e-āb par
putliyāñ donoñ tirī āñkhoñ meñ do nīlam lage
aur tirī āñkhoñ kā paanī mujh ko jām-e-jam lage
vaqt-e-sub.h ye ālam-e-sīmāb hai chehra tirā
kyā kahūñ bas manzar-e-nāyāb hai chehra tirā
qaul har niklā zabāñ se jo tirī shahdāb hai
aur laboñ kā til kitāb-e-ishq kā ik baab hai
hai musavvir kī tire añg añg meñ gul-kāriyāñ
mo.ajiza lagtī hai tere husn kī rañgīniyāñ
gauhar-e-nāyāb hai zartāb hai chehra tirā
kyā kahūñ bas manzar-e-nāyāb hai chehra tirā
sard raaton ka hasin ek KHwab hai chehra tera
kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera
nikhat-e-gesu ko teri nikhat-e-sumbul likhun
tere narm-o-nazuk in honTon ko barg-e-gul likhun
aarzu par ye araq lagta hai shabnam ki tarah
aur sani is mein laTen lagti hai resham ki tarah
jaise koi gulshan-e-shadab hai chehra tera
kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera
nur se kuchh is tarah hai chashm teri tar-ba-tar
chandni ka aks jon utra ho sath-e-ab par
putliyan donon teri aankhon mein do nilam lage
aur teri aankhon ka pani mujh ko jam-e-jam lage
waqt-e-subh ye aalam-e-simab hai chehra tera
kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera
qaul har nikla zaban se jo teri shahdab hai
aur labon ka til kitab-e-ishq ka ek bab hai
hai musawwir ki tere ang ang mein gul-kariyan
moajiza lagti hai tere husn ki ranginiyan
gauhar-e-nayab hai zartab hai chehra tera
kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.