chehre
qarya qarya bastī bastī
ghuum ke maiñ ye DhūñD rahā thā
koī aisā bhī to hogā
jis kā chehra apnā hogā
lekin chehroñ ke jangal meñ
har chehra ik dhokā paayā
sachchā.ī kā chehra jhūTā
pyaar kā chehra ik saudā.ī
ilm kā chehra ḳhālī ḳhālī
in chhoTe chehroñ meñ rah kar
maiñ to ab ye soch rahā huuñ
merā apnā chehra shāyad
jhūTā hai begāna hai
mere apne chehre par ye
ġham kī ghaTā.eñ jhūTī haiñ
dard ke tūfāñ jhūTe haiñ
ye saare rishte jhūTe haiñ
qarya qarya basti basti
ghum ke main ye DhunD raha tha
koi aisa bhi to hoga
jis ka chehra apna hoga
lekin chehron ke jangal mein
har chehra ek dhoka paya
sachchai ka chehra jhuTa
pyar ka chehra ek saudai
ilm ka chehra KHali KHali
in chhoTe chehron mein rah kar
main to ab ye soch raha hun
mera apna chehra shayad
jhuTa hai begana hai
mere apne chehre par ye
gham ki ghaTaen jhuTi hain
dard ke tufan jhuTe hain
ye sare rishte jhuTe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.